shab-e-tārīk huuñ nūr-e-sahar hone kī ḳhvāhish hai
maiñ aisā ho nahīñ saktā magar hone kī ḳhvāhish hai
mohabbat ke muqābil aa ga.ī hai dostī yaaro
udhar maiñ ho nahīñ saktā jidhar hone kī ḳhvāhish hai
vagarna terā honā aur na honā ek jaisā hai
kisī ahl-e-nazar se mil agar hone kī ḳhvāhish hai
'razā' ik din tujhe apnī nazar se bhī girā degī
ye jauhar ik nazar meñ mo'tabar hone kī ḳhvāhish hai