vo jo ik ilzām thā us par kahīñ
aa na jaa.e ab hamāre sar kahīñ
jis kī ḳhātir qāfila rokā gayā
vo musāfir chal diyā uTh kar kahīñ
jab vo do panchhī mile the khet meñ
phir nazar aa jaa.e vo manzar kahīñ
ḳhvāhishoñ ke ġhaar kā muñh band hai
tum haTā denā na vo patthar kahīñ
āsmāñ se aane vaale saat rañg
the kisī ke, aa ke utre, par kahīñ
dil kī ik ummīd dil meñ rah ga.ī
ik diyā sā bujh gayā jal kar kahīñ
lāpata hai ik samundar aaj tak
jhāñk baiThā thā mire andar kahīñ
Das na le mujh ko kahīñ ḳhushbū tirī
khā na jaa.e mujh ko ye bistar kahīñ
aa gayā vo jism ke malbe tale
maiñ girā dahlīz se bāhar kahīñ
dhuup ke lambe safar ke ba.ad ham
saañs leñge saa.e meñ ruk kar kahīñ