aa ga.ī dhuup mirī chhāñv ke pīchhe pīchhe
tishnagī jaise ho sahrāoñ ke pīchhe pīchhe
naqsh bante ga.e ik paañv se aage aage
naqsh miTte ga.e ik paañv ke pīchhe pīchhe
tum ne dil-nagrī ko ujḌā huā gaañv jaanā
varna ik shahr thā is gaañv ke pīchhe pīchhe
niiñd barbād hai ḳhūnāb haiñ āñkheñ phir to
gar chalūñ qāfiya-paimāoñ ke pīchhe pīchhe
aql har ḳhvāb kī ta.abīr ke pīchhe bhāge
dil azal hī se hai āshāoñ ke pīchhe pīchhe
an-sune ek bulāve ne ujāḌe āñgan
barkateñ uTh ga.iiñ sab maaoñ ke pīchhe pīchhe
vasvase rok ke baiThe haiñ hamārā rasta
hādse haiñ ki lage paañv ke pīchhe pīchhe
ho ke rahnā hai kisī roz use bhī raushan
vo jo ik bhed hai rekhāoñ ke pīchhe pīchhe
ahl-e-dil DhūñD koī aise chalegā kab tak
apnī be-sūd tamannāoñ ke pīchhe pīchhe
apne baḌhte hue gustāḳh qadam rok 'razā'
ġhaus o abdāl chale maaoñ ke pīchhe pīchhe