Sajid Akhtar

inhen mat chheDiye inko to KHwahish hai singhasan ki

Sajid Akhtar

Kolkata, West Bengal, India

2000
inheñ mat chheḌiye in ko to ḳhvāhish hai singhāsan kī
faqat ye jaan liije ye hai aadat mulk-dushman kī
ise tanhā.ī meñ jab yaad aa.ī apne sājan kī
ġhamoñ ke saa.e meñ guzrī thī kal kī raat birhan kī
batā.ūñ kyā tumheñ sarkash havā kī dāstāñ yāroñ
ki shāḳheñ sūkhtī hī jā rahī hai mere gulshan kī
ḳhudāyā ye hamārī qaum meñ tafrīq hai kaisī
sabhī ko ek kar de ye duā hai mere tan-man kī
ki baḌhtā jā rahā hai zāfrānī rañg har shai par
nazar aatī nahīñ hai ḳhair ab apne nasheman kī
mujhe phāñsī pe laTkā do magar sach baat bolūñgā
chitā har gaam par jaltī hai yaaro aaj dulhan kī
ye kaisā daur aayā hai ye kaise log haiñ 'sājid'
madad koī nahīñ kartā yahāñ dil se abhāgan kī
Top Urdushayar.com