nafratoñ se chehra chehra gard thā
mujrim-e-insāniyat har fard thā
kuchh havāoñ meñ bhī thā ḳhauf-o-hirās
kuchh fazāoñ kā bhī chehra zard thā
be-hisī meñ dafn thī insāniyat
ādamiyyat kā bhī lahja sard thā
apne kāñdhoñ par uThā.e apnā bojh
koī āvāra koī shab-gard thā
phuul se chehre the murjhā.e hue
shahr-e-gul bhī aaj shahr-e-dard thā
jis ne duniyā bhar ke ġham apnā.e the
us ko duniyā ne kahā be-dard thā
sach to 'aḳhtar' ye hai us māhaul meñ
merā dushman hī mirā hamdard thā