jise ham ne kabhī dekhā nahīñ hai
use kyā jaane kyā hai kyā nahīñ hai
tirī āñkhoñ se dil kī vādiyoñ tak
koī bhī rāh-rau pahuñchā nahīñ hai
jo pyāsī ruuh ko sairāb kar de
vo bādal aaj tak barsā nahīñ hai
shajar ke ho ga.e kyuuñ zard chehre
koī patta abhī sūkhā nahīñ hai
mirī tishna-labī pe hañsne vaalo
khaḌā huuñ maiñ jahāñ sahrā nahīñ hai
hue haiñ log pyāse qatl jab se
kisī dariyā pe ab pahrā nahīñ hai
takabbur kī chaTāneñ haiñ ye 'ahsan'
jo aayā hai yahāñ Thahrā nahīñ hai