Nawab Ahsan

KHamosh is liye hum hain ki baat ghar ki hai

Nawab Ahsan

ḳhamosh is liye ham haiñ ki baat ghar kī hai
abhī ye dekh rahe haiñ havā kidhar kī hai
bujhe charāġh to ehsās-e-karb jaag uThā
na jaane kaise parindoñ ne shab basar kī hai
hamāre bachchoñ ke dil meñ sulag rahe haiñ alaav
ye aag bujh nahīñ pā.egī umr bhar kī hai
nahā uTheñge abhī log be-sabab ḳhuuñ meñ
ye jañg sirf hamāre hī ek sar kī hai
na tum kahoge to ḳhanjar pukār uTThegā
lahū meñ kis ke ye phir āstīn tar kī hai
barahna kāñToñ pe bistar bichhā diyā maiñ ne
tū bhuul jā ki mirī aarzū safar kī hai
panāh dhuup se 'ahsan' jo de sake sab ko
zarūrat aaj yahāñ aise ik shajar kī hai
Top Urdushayar.com