ab safar raat meñ hī karte haiñ
log ab raushnī se Darte haiñ
rah ke ik shahr-e-be-charāġh meñ ham
roz jiite haiñ roz marte haiñ
yaad aate haiñ saare pas-e-manzar
naqsh maazī ke jab ubharte haiñ
zindagī yuuñ bikhar ga.ī jaise
TuuT kar aa.ine bikharte haiñ
ghar kī bosīdgī chhupāne ko
rañg dīvār-o-dar meñ bharte haiñ
apne ghar ke qarīb se aksar
ajnabī bin ke ham guzarte haiñ
shaam hotī hai ghar chalo 'ahsan'
saa.e dīvār se utarte haiñ