Nawab Ahsan

daulat shohrat qatl tabahi kya kya hain pahchan na puchh

Nawab Ahsan

daulat shohrat qatl tabāhī kyā kyā haiñ pahchān na pūchh
aaj vafā ke afsānoñ ke kitne haiñ unvān na pūchh
jhuuT daġhā, nafrat aur rishvat zehnoñ ke nīlām hue haiñ
aur tarāzū meñ sone ke tulte haiñ īmān na pūchh
jaltī chitāeñ ḳhūnī manzar, chīḳheñ, karb aur sannāTe
kis ko ham ilzām lagā.eñ bastī hai vīrān na pūchh
dard ke bādal chhā.e hue haiñ jaane kab ye baras paḌeñ
bhīgī bhīgī sī āñkheñ haiñ Thahrā hai tūfān na pūchh
taptā sūraj, ret kā dariyā, surḳh ujāle, kaalī raat
jaane kaise is dhartī par rahte haiñ insān na pūchh
jhulse chehre, zaḳhmī rūheñ, ḳhuun ke dhabbe, ġham ke daaġh
ā.īne meñ dekh ke sūrat duniyā hai hairān na pūchh
pyāse lab aur jalte ḳheme, tīr-o-ḳhanzar siine meñ
nasl-e-nau pe un ke 'ahsan' kitne haiñ ehsān na pūchh
Top Urdushayar.com