vo lamhe bhūle nahīñ rasm-o-rāh ke ab tak
tasavvurāt haiñ dil meñ gunāh ke ab tak
bahā ke le gayā sailāb gaañv ke manzar
gharauñde miT nahīñ paa.e haiñ chaah ke ab tak
tirī zabāñ se jo nikle the bad-duā bin kar
mujhe jalāte haiñ sho.ale vo aah ke ab tak
kisī zamāne meñ shāyad yahāñ pe maqtal thā
nishāñ batāte haiñ ye qasr shaah ke ab tak
vo ḳhvāb dekhe zamāna guzar gayā lekin
sulag rahe haiñ darīche nigāh ke ab tak
jahāñ pe saa.e larazte haiñ terī yādoñ ke
bulā rahe haiñ vahī moḌ raah ke ab tak
kahī thī daar pe kal haq kī baat 'ahsan' ne
salīb haath meñ hai sarbarāh ke ab tak