adū ke kahne se mujh ko zalīl-o-ḳhvār kiyā
sazā ye us kī hai maiñ ne jo tum ko pyaar kiyā
na hogā dāvar-e-mahshar ke aage hashr meñ bhī
ki umr bhar usī kāfir ko maiñ ne pyaar kiyā
ham aur beach meñ aate haiñ un kī bātoñ ke
unhoñ ne va.ada kiyā ham ne e'tibār kiyā
batā to charḳh bhalā us se tujh ko kyā hāsil
kisī kā sheva-e-zātī jo iḳhtiyār kiyā
mazā yahī hai ki tarfain se hue be chīnī
mire taḌapne ne un ko bhī be-qarār kiyā
hamārī na.ash ko Thokar lagā ke us ne kahā
hamāre aane kā kyā ḳhuub intizār kiyā
burā kiyā jo kahā un se mudda.ā dil kā
ġhazab kiyā jo mohabbat ko āshkār kiyā