Arif Hasan Khan

main hun aur mera kamra hai

Arif Hasan Khan

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1951
maiñ huuñ aur merā kamra hai
raat kā gahrā sannāTā hai
lab par haiñ insāf kī bāteñ
dil meñ adāvat kā jazba hai
kuchh to batā kyā baat hai āḳhir
kyuuñ itnā ḳhāmosh khaḌā hai
dil meñ ḳhalish rahtī hai aksar
terā merā kyā rishta hai
kis ko sunā.eñ kaun sunegā
dard bharā apnā qissa hai
aañkh khulī to ham ne jaanā
pyaar mohabbat ik sapnā hai
dekh liyā sansār ko 'ārif'
tū hī jag meñ sab se burā hai
Top Urdushayar.com