Arif Hasan Khan

kaise safar par nikla hun

Arif Hasan Khan

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1951
kaise safar par niklā huuñ
muḌ muḌ kar kyā taktā huuñ
jaane phir kab lauTuñgā
sab se mil kar aayā huuñ
ruuTh ga.ī manzil kaisī
galiyoñ galiyoñ bhaTkā huuñ
koī mujh ko kyuuñ gaay
dard bharā ik naġhma huuñ
kyā hogī ta.abīr mirī
ik muflis kā sapnā huuñ
zaḳhm tumhārī yādoñ ke
ab ashkoñ se dhotā huuñ
koī nahīñ merā sāthī
ik bādal āvāra huuñ
dekh mire dil meñ aa kar
jhūTā huuñ yā sachchā huuñ
'ārif' is dil ke hāthoñ
martā huuñ aur jiitā huuñ
Top Urdushayar.com