kam nahīñ ye bhī zindagī ke liye
jaan jaa.e tirī ḳhushī ke liye
dostī ho vafā ho nafrat ho
kuchh bahāna ho zindagī ke liye
aap kī yaad kā bas ek diyā
hai bahut dil kī raushnī ke liye
vo jo māñge to jaan bhī de duuñ
jī rahā huuñ isī ḳhushī ke liye
bārhā ḳhuun kar liyā dil ko
us ke hoñToñ kī ik hañsī ke liye
aaj ke daur meñ suno 'ārif'
koī martā nahīñ kisī ke liye