Arif Hasan Khan

nai ghazlen likhun kis ke liye aur git sajaun kis ke liye

Arif Hasan Khan

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1951
na.ī ġhazleñ likhūñ kis ke liye aur giit sajā.ūñ kis ke liye
mirā ham-dam mujh se ruuTh gayā ab naġhme gā.ūñ kis ke liye
vo paas jo thā to us ke liye auroñ se bhī laḌnā paḌtā thā
ab kis ke liye maiñ kis se laḌūñ aur ḳhud ko jalā.ūñ kis ke liye
ik us ke tabassum kī ḳhātir dukh-dard hazāroñ sahtā thā
ab kis ke liye dukh-dard sahūñ aur ashk bahā.ūñ kis ke liye
vo thā to faqat us kī ḳhātir auroñ se bhī milnā paḌtā thā
ab aise vaise logoñ ke maiñ naaz uThā.ūñ kis ke liye
maiñ us ke liye hī sañvartā thā aur ḳhud ko sajāyā kartā thā
ab ḳhud ko sañvārūñ kis ke liye aur ghar ko sajā.ūñ kis ke liye
jab des meñ koī apnā thā pardes meñ kab jī lagtā thā
ab kis ke liye ghar yaad aa.e aur des ko jā.ūñ kis ke liye
us kā nahīñ 'ārif' koī badal aisā hai vo merā jān-e-ġhazal
ab us ke sivā kyā yaad rakhūñ aur us ko bhulā.ūñ kis ke liye
Top Urdushayar.com