Arif Hasan Khan

tu bewafa hi sahi tujhse pyar aaj bhi hai

Arif Hasan Khan

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1951
tū bevafā hī sahī tujh se pyaar aaj bhī hai
tire liye ye dil-o-jāñ nisār aaj bhī hai
maiñ jāntā huuñ na aa.egā tū palaT ke kabhī
magar mujhe to tirā intizār aaj bhī hai
tū laakh ġhair sahī āj-kal tū thā merā
dil-o-jigar pe tirā iḳhtiyār aaj bhī hai
tire baġhair bhī duniyā bahut hasīñ hai magar
tire firāq meñ dil be-qarār aaj bhī hai
ḳhushī hai mujh ko tujhe mil ga.ī tirī manzil
ḳhushī se aañkh mirī ashk-bār aaj bhī hai
na bhar sakegā kabhī us ko vaqt kā marham
tire karam se mirā dil figār aaj bhī hai
maiñ tere baaġh kā barg-e-ḳhizāñ-rasīda huuñ
tū vo kalī hai ki jis par bahār aaj bhī hai
bichhaḌ ke tujh se jiye jā rahā hai kyuuñ 'ārif'
jigar meñ ye ḳhalish-e-nok-e-ḳhār aaj bhī hai
Top Urdushayar.com