to pahle merā hī hāl-e-tabāh likh liije
phir apne aap ko aalam panāh likh liije
kitāb-e-sahrā meñ zikr aa.e jab samundar kā
mirī hayāt kisī kī nigāh likh liije
diyoñ ke qatl pe sūraj kī har kiran chup hai
is ehtiyāt ko jashn-e-siyāh likh liije
laboñ pe amn ke naġhme diloñ meñ jañg kī aag
shikast-e-azm ba-nām-e-sipāh likh liije
vo mere qatl kā mulzim hai log kahte haiñ
vo chhuT sake to mujhe bhī gavāh likh liije
maiñ apne ghar kī tabāhī sambhāl lūñgā magar
zamāne bhar kā mujhe sarbarāh likh liije
ḳhatā.eñ itnī haiñ 'bekal' mujhe nahīñ mālūm
yahī sazā hai mirā har gunāh likh liije