bhītar basne vaalā ḳhud bāhar kī sair kare maulā ḳhair kare
ik mūrat ko chāhe phir ka.abe ko dair kare maulā ḳhair kare
ishq-vishiq ye chāhat-vāhat man kā bhulāvā phir man bhī apnā kyā
yaar ye kaisā rishta jo apnoñ ko ġhair kare maulā ḳhair kare
ret kā tuudā āñdhī kī faujoñ par tiir chalā.e Tahnī peḌ chabā.e
chhoTī machhlī dariyā meñ ghaḌiyāl se bair kare maulā ḳhair kare
soch ki kāfir har mūrat pe jaan chhiḌaktā hai bin paañv thiraktā hai
man kā musalmāñ ab qible kī jānib pair kare maulā ḳhair kare
fikr kī chaak pe maaTī kī tū shakl badaltā hai yā ḳhud hī Dhaltā hai
'bekal' be-par lafzoñ kī taḳh.īl ko tair kare maulā ḳhair kare