Bekal Utsahi

nazar ki fath kabhi qalb ki shikast lage

Bekal Utsahi

Balrampur, Uttar pradesh, India

1928-2016
nazar kī fat.h kabhī qalb kī shikast lage
mirī hayāt parā.e kā band-o-bast lage
na vo nuqūsh na husn-e-kashish kī baat rahī
sanam-farosh bhī jaise ḳhudā-parast lage
abhī milā thā abhī phir bichhaḌ gayā koī
ye hādsa bhī hikāyāt-e-būd-o-hast lage
farishte dekh rahe haiñ zamīn o charḳh kā rabt
ye fāsla bhī to insāñ kī ek jast lage
vahāñ safīne ko pahuñchā diyā hai tūfāñ ne
har ek mauj-e-balā ab jahāñ se past lage
tire hī ġham ne kisī samt dekhne na diyā
ki ab hujūm-e-tamannā bhī tañg-dast lage
jo terī bazm se 'bekal' chalā to hosh meñ thā
ajiib baat hai ab vo bhī mast mast lage
Top Urdushayar.com