Bekal Utsahi

udas kaghzi mausam mein rang o bu rakh de

Bekal Utsahi

Balrampur, Uttar pradesh, India

1928-2016
udaas kāġhzī mausam meñ rañg o bū rakh de
har ek phuul ke lab par mirā lahū rakh de
zabān-e-gul se chaTāneñ tarāshne vaale
nigār o naqsh meñ āsā.ish-e-numū rakh de
sunā hai ahl-e-ḳhirad phir chaman sajā.enge
junūñ bhī jeb o garebāñ pa-e-rafū rakh de
shafaq hai phuul hai dīpak hai chāñd bhī hai magar
unhīñ ke saath kahīñ sāġhar o subū rakh de
chalā hai jānib-e-mai-ḳhāna aaj phir vaa.iz
kahīñ na jaam pe lab apne be-vazū rakh de
tamām shahr ko apnī taraf jhukā lūñgā
ġham-e-habīb mire sar pe haath tū rakh de
girāñ lage hai jo ehsān dast-e-qātil kā
uTh aur teġh ke lab par rag-e-gulū rakh de
ḳhudā kare mirā munsif sazā sunāne par
mirā hī sar mire qātil ke rū-ba-rū rakh de
samundaroñ ne bulāyā hai tujh ko ai 'bekal'
tū apnī pyaas kī sahrā meñ aabrū rakh de
Top Urdushayar.com