dimāġh arsh pe hai ḳhud zamīñ pe chalte haiñ
safar gumān kā hai aur yaqīñ pe chalte haiñ
hamāre qāfila-sālāroñ ke irāde kyā
chale to haañ pe haiñ lekin nahīñ pe chalte haiñ
na jaane kaun sā nashsha hai un pe chhāyā huā
qadam kahīñ pe haiñ paḌte kahīñ pe chalte haiñ
banā ke un ko agar chhoḌ do to gir jaa.eñ
makāñ na.e ki purāne makīñ pe chalte haiñ
jahāñ tumhārā hai tum ko kisī kā Dar kyā hai
tamām tiir jahāñ ke hamīñ pe chalte haiñ