ham chaTānoñ kī tarah sāhil pe Dhāle jā.eñge
phir hameñ sailāb ke dhāre bahā le jā.eñge
aisī rut aa.ī añdhere ban ga.e mimbar ke but
gumbad-o-mehrāb kyā jugnū bachā le jā.eñge
pahle sab ta.amīr karvā.eñge kāġhaz ke makāñ
phir havā ke ruḳh pe añgāre uchhāle jā.eñge
ham vafādāroñ meñ haiñ us ke magar mashkūk haiñ
ik na ik din us kī mahfil se nikāle jā.eñge
jañg meñ le jā.eñge sarhad pe sab tīr-o-tafang
ham to apne saath miTTī kī duā le jā.eñge
shahr ko tahzīb ke jhoñkoñ ne nañgā kar diyā
gaañv ke sar kā dupaTTa bhī uḌā le jā.eñge
dāstān-e-ishq ko 'bekal' na de gītoñ kā ruup
dost haiñ bebāk sab lahje churā le jā.eñge