rahīn-e-ās rahī hai na mahv-e-yās rahī
bichhaḌ ke tujh se mirī ziist bad-havās rahī
jo rind aayā tirī bazm meñ huā sairāb
vo tishna-kām rahā maiñ ki jis ko pyaas rahī
tirī nigāh-e-karam ne vo gul khilā.e haiñ
chaman meñ fasl-e-bahārāñ udaas udaas rahī
har ek lahza mirī dhaḌkanoñ meñ chubhtī thī
ajiib chiiz mire dil ke ās-pās rahī
mai-e-nashāt tirī sādgī ne chhalkā dī
nigāh-e-ishq ko kyā jaane kis kī pyaas rahī