na chilmanoñ kī hasīñ sarsarāhaTeñ hoñgī
na hoñge ham to kahāñ jagmagāhaTeñ hoñgī
maiñ ek bhañvrā tire baaġh meñ rahūñ na rahūñ
kise nasīb mirī gungunāhaTeñ hoñgī
kivāḌ band karo tīra-baḳhto so jaao
galī meñ yuuñ hī ujāloñ kī āhaTeñ hoñgī
na pūchh pā.eñge ahvāl-e-bebasī vo bhī
mire laboñ pe agar kapkapāhaTeñ hoñgī
lahū nichoḌ lo mumkin hai kal bahār ke baad
ragoñ meñ phailī huī sansanāhaTeñ hoñgī
vo din bhī aa.egā 'bekal' chaman ke phūloñ par
ba-nām-e-jurm-o-ḳhatā muskurāhaTeñ hoñgī