mujh ko shikastagī kā qalaq der tak rahā
kyuuñ chehra phir janāb kā faq der tak rahā
yuuñ to ka.ī kitābeñ paḌhīñ zehn meñ magar
mahfūz ek saada varaq der tak rahā
aksar shab-e-visāl tire rūThne ke baad
ehsās par tilism-e-ramaq der tak rahā
ab hai kitāb-e-ishq meñ jo saada o salīs
pahle vo lafz lafz-e-adaq der tak rahā
sūraj ke sar ko shaam ke neze pe dekh kar
dast-e-zamīñ pe rañg-e-shafaq der tak rahā
us kā javāb ek hī lamhe meñ ḳhatm thā
phir bhī mire savāl kā haq der tak rahā
'bekal' jise bhulā ke zamāna hai mutma.in
tujh ko hī yaad vo bhī sabaq der tak rahā