fasl-e-gul kab luTī nahīñ mālūm
kab bahār aa.ī thī nahīñ mālūm
ham bhaTakte rahe andhere meñ
raushnī kab huī nahīñ mālūm
kab vo guzre qarīb se dil ke
niind kab aa ga.ī nahīñ mālūm
dard jab jab uThā huā mahsūs
choT kab kab lagī nahīñ mālūm
bebasī jis kī ziist ho us ko
ziist kī bebasī nahīñ mālūm
naaz sajdoñ pe hai hameñ lekin
nāzish-e-bandagī nahīñ mālūm
apnī hālat pe tere vahshī ko
kyuuñ hañsī aa ga.ī nahīñ mālūm
hosh aayā to mai-kada na rahā
haa.e kis vaqt pī nahīñ mālūm
merī jānib vo dekh kar bole
hai koī ajnabī nahīñ mālūm
daur-e-hāzir kī bazm meñ 'bekal'
kaun hai aadmī nahīñ mālūm