na.e zamāne meñ ab ye kamāl hone lagā
ki qatl kar ke bhī qātil nihāl hone lagā
mirī tabāhī kā baa.is jo hai zamāne se
usī ko ab mirā kaahe ḳhayāl hone lagā
havā-e-ishq ne bhī gul khilā.e haiñ kyā kyā
jo merā haal thā vo terā haal hone lagā
shab-e-firāq vo kaisā thā jashn yādoñ kā
ki jis kā zikr bhī bād-e-visāl hone lagā
jo ranj-o-ġham meñ mire saath saath thā ab tak
use bhī merī ḳhushī se malāl hone lagā
jahāñ pe manzar-e-jalva thā sirf vahm o gumāñ
vahīñ pe jalsa-e-zohra-jamāl hone lagā
tumhāre qadr se agar baḌh rahī ho parchhā.īñ
samajh lo dhuup kā vaqt-e-zavāl hone lagā
na ḳhud ko bechā na koī ḳhushāmadeñ kī haiñ
to kaise tum pe ye 'bekal' savāl hone lagā