mohabbat aur ḳhushbū kā nagar taqsīm ho jaa.e
kahīñ aisā na ho ghar kā shajar taqsīm ho jaa.e
lahū rotī huī āñkheñ lahū rotī hī rahtī haiñ
havas ke haath jab purkhoñ kā ghar taqsīm ho jaa.e
kabhī bhī aag kī fasleñ yahāñ par ug nahīñ saktīñ
mohabbat saare aalam meñ agar taqsīm ho jaa.e
udāsī ke ghane jañgal meñ raste jā nikalte haiñ
fazāoñ meñ nayā jab ek Dar taqsīm ho jaa.e
kabhī jo yaad kartī huuñ tirī qurbat ke lamhoñ ko
mirī sāñsoñ talak us kā asar taqsīm ho jaa.e
mirī maañ kī duāoñ kā 'samīna' mo.ajiza dekho
mire pairoñ meñ aate hī bhañvar taqsīm ho jaa.e