is riyāzat kā mirī jaan sila kuchh bhī nahīñ
ishq kā khel sharāroñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
zabt ke kaun-se ziine pe maiñ aa pahuñchī huuñ
haath uTThe haiñ magar harf-e-duā kuchh bhī nahīñ
ab to ḳhurshed ba-kaf ham ko ubharnā hogā
in añdheroñ meñ faqat ek diyā kuchh bhī nahīñ
aise lagtā thā ki duniyā hī ujaḌ jā.egī
ḳhauf thā chāroñ taraf aur huā kuchh bhī nahīñ
ḳhāmushī ḳhud hai takallum kā vasīla 'sayyad'
dasht-e-hairat hai yahāñ saut-o-sadā kuchh bhī nahīñ