mohabbat kā shikasta-pan nazar kyā aa.e bāhar se
ye dīmak to badan ko chāTtī rahtī hai andar se
tumhāre hijr kā ye dard-e-sar to mustaqil Thahrā
mujhe lagtā hai jaañ le ke ye utregā mere sar se
mirī tartīb meñ sahrā-mizājī kār-farmā hai
bujhegī pyaas kyā merī bhalā ashkoñ ke sāgar se
terī dahlīz pe maiñ muntazir apnī na rah jā.ūñ
yahī sab sochtī huuñ lauT aatī huuñ tire dar se
mirī ḳhāmoshiyoñ ko chīḳh banñe kā bahut Dar hai
koī āvāz uThne lag paḌī hai mere andar se
'samīna' mas.ala ye hai mirī qāmat se kamtar hai
hamesha pyaas pī kar lauT aatī huuñ samundar se