qahat-sālī sī qahat-sālī hai
dil tirī yaad se bhī ḳhālī hai
dekh tū āsmāñ ke bistar par
chāñd merī tarah savālī hai
ḳhvāb dekhūñ to kis tarah dekhūñ
niiñd us ne mirī churā lī hai
ham ne bujhte hue diye kī lau
tez āñdhī meñ phir uchhālī hai
sach to ye hai ki kār-e-vahshat meñ
ham ne ye umr hī gañvā lī hai
hijr kī dopahar meñ ai 'sayyad'
bazm yādoñ kī phir sajā lī hai