Meer Yaseen Ali khan

main tumko pujta raha jab tak KHudi mein tha

Meer Yaseen Ali khan

Hyderabad, Telangana, India

1908-1996
maiñ tum ko pūjtā rahā jab tak ḳhudī meñ thā
apnā milā surāġh mujhe be-ḳhudī ke ba.ad
kyā rasm-e-ehtiyāt bhī duniyā se uTh ga.ī
ye sochnā paḌā mujhe terī hañsī ke ba.ad
ghabrā ke mar na jā.iye marne se fā.eda
ik aur zindagī bhī hai is zindagī ke ba.ad
aa.e haiñ is jahāñ meñ to jaanā zarūr hai
koī kisī se pahle to koī kisī ke ba.ad
ai abr-e-nau-bahār Thahar pī rahā huuñ maiñ
jaanā baras ke ḳhuub mirī mai-kashī ke ba.ad
marte the jis pe ham vo faqat husn hī na thā
ye raaz ham pe aaj khulā āshiqī ke ba.ad
ai mausam-e-bahār Thahar aa rahā huuñ maiñ
dāmān-e-chāk-chāk kī baḳhiya-garī ke ba.ad
Top Urdushayar.com