āñkheñ ġham-e-firāq se haiñ tar idhar-udhar
ġham kā asar hai aaj barābar idhar-udhar
the jo vafā-shi.ār vo nazr-e-sitam hue
ab kis ko DhūñDhtā hai sitamgar idhar-udhar
mahfil meñ tere husn pe qurbān hogā kaun
dīvāne chal diye jo nikal kar idhar-udhar
saaqī ke saath raunaq-e-mai-ḳhāna bhī ga.ī
TuuTe paḌe haiñ shīsha-o-sāġhar idhar-udhar
aisā na ho zamāna hañse tum par ek din
likkho na mere haal pe hañs kar idhar-udhar
dil meñ kabhī hai dard jigar meñ kabhī ḳhalish
jaise chhupe hoñ siine meñ nashtar idhar-udhar
apnī ġhazal sunāo 'shamīm' ahl-e-zauq ko
zaa.e.a karo na fikr ke jauhar idhar-udhar