kaun sā sho.ala lapaktā hai ye mahmil ke qarīb
husn kis kā hai jo bikhrā hai mire dil ke qarīb
nā-ḳhudā tere havāle hai safīna dil kā
Duub jaa.e na kahīñ aa ke ye sāhil ke qarīb
peshvā.ī ko chalī jaatī hai ḳhud hī manzil
hai thakā-māñda musāfir koī manzil ke qarīb
koī guzrā hai dabe-pāñv ye shahr-e-dil se
kis kī aahaT sī ye mahsūs huī dil ke qarīb
maiñ ne dekhā unheñ us rāhguzar meñ chalte
maiñ nai paayā unheñ ḳhalvat-kada-e-dil ke qarīb
Dagmagā.e jo qadam rāh-e-mohabbat meñ kabhī
ham ye samjhe ki 'shamīm' aa ga.e manzil ke qarīb