jo pahle zarā sī navāzish kare hai
vahī phir shab-o-roz sāzish kare hai
vo dhoke pe dhoka diye jaa.e lekin
ye dil phir bhī us kī sifārish kare hai
kisī din mile vo khilaunoñ kī sūrat
mirā dil bhī bachchoñ sī ḳhvāhish kare hai
ye dil kā ḳhalal jaan le kar rahegā
masīhā to be-kār koshish kare hai
maiñ us kī ragoñ meñ lahū ban ke dauḌūñ
vo mere badan meñ rihā.ish kare hai
use pyaas sahrā kī bhātī nahīñ hai
vo 'fārūq' dariyā pe bārish kare hai