kabhī tanhā.ī kā ehsās nahīñ rahtā hai
duur rah ke bhī vo is dil ke qarīñ rahtā hai
merī palkoñ pe lagā denā nazar kā Tiika
merī āñkhoñ meñ koī parda-nashīñ rahtā hai
vaqt miTTī meñ milā detā hai shāhoñ ko bhī
hashr tak kaun bhalā taḳht-nashīñ rahtā hai
terī nas nas meñ lahū ban ke ravāñ rahtā huuñ
rāsta jaise koī zer-e-zamīñ rahtā hai
vo kahīñ bhī rahe 'fārūq' duā.eñ degā
us kī chāhat pe mujhe kitnā yaqīñ rahtā hai