yuuñ zindagī ke ma.anī kisī ne batā diye
tum ret pe do harf likhe aur miTā diye
kaise kahūñ ki kitnā vo khul kar milā hai aaj
sharm-o-hayā ke saare parinde uḌā diye
dushman se hār-jīt kā honā thā faisla
to vāpsī ke ham ne safīne jalā diye
tū baḳhsh yā na baḳhsh tujhe iḳhtiyār hai
guzreñge tere dar se na ham bin sadā diye
'fārūq' un se koī shikāyat nahīñ rahī
āñkheñ milīñ to dhīre se vo muskurā diye