milā ke haath masarrat kashīd kī jaa.e
vo sāmne nazar aa.e to iid kī jaa.e
junūn-e-ishq kahāñ nāp-tol jaane hai
agar huī hai mohabbat shadīd kī jaa.e
vahāñ to amn ke sajdoñ kī nūr-pāshī thī
kahā thā kis ne ki masjid shahīd kī jaa.e
chalan vafā kā tumhārī sarisht meñ hī nahīñ
to kis umiid pe tum se ummīd kī jaa.e
ḳhulūs-o-pyār se patthar pighalte dekhe haiñ
anā hai dushman-e-jānāñ murīd kī jaa.e
rivāyatoñ kā bhī apnā mizāj hai 'fārūq'
ġhazal zarūrī nahīñ hai jadīd kī jaa.e