Farooq rahman

dur tak suni paDi hai rahguzar dekhega kaun

Farooq rahman

Mumbai, Maharashtra, India

1958
duur tak suunī paḌī hai rahguzar dekhegā kaun
apnī manzil hī nahīñ to rāhbar dekhegā kaun
chāñdnī kī bad-duā apnā asar dikhlā ga.ī
kis qadar tārīkiyāñ haiñ chāñd par dekhegā kaun
jāgtī āñkhoñ pe āḳhir niiñd ġhālib aa ga.ī
ab tumhārā rāsta bhī rāt-bhar dekhegā kaun
apne ghar kā sāz-o-sāmāñ ham ne girvī rakh diyā
hañste hañste zahar piine kā hunar dekhegā kaun
jaan kā ḳhatra to hai hī jaal bhī kamzor hai
machhliyoñ ke shauq meñ paanī magar dekhegā kaun
ab ġhazal ke naam par 'fārūq' kuchh bhī pesh kar
log sab masrūf haiñ zer-o-zabar dekhegā kaun
Top Urdushayar.com