yās-o-hirās-o-jaur-o-jafā se alag-thalag
ik sā.ebāñ hai qahr-e-ḳhudā se alag-thalag
dekho uThā hai vo bhī alāmat ke taur par
dast-e-darāz dast-e-duā se alag-thalag
parvāna-e-havā-o-havas haañ barā.e-shauq
koī maqām sham-e-vafā se alag-thalag
kab tak rahegā vahshī-e-ehsās-o-āgahī
nā-sāzgār āb-o-havā se alag-thalag
mil jā.egā hisār-e-azīmat ke aas paas
karb-e-sukūt āh-o-bukā se alag-thalag
sad-hādsāt-e-ḳhām haiñ ibrat-nigāh meñ
tārīḳh-sāz jurm-o-sazā se alag-thalag
is ḳhauf se na sehr-bayānī pe harf aa.e
'rāhī' rahe haiñ chūn-o-charā se alag-thalag