Rahi Fidai

waqt ke intizar mein wo hai

Rahi Fidai

1949
vaqt ke intizār meñ vo hai
justujū-e-shikār meñ vo hai
sīna-e-rāzdār hī meñ nahīñ
dīda-e-āshkār meñ vo hai
ā.īna saaf ho to dekh use
naqsha-e-dil-figār meñ vo hai
us ke qabze meñ kā.enāt sahī
fuqarā kī qatār meñ vo hai
sar pe dastār-e-fazl hai lekin
jubba-e-tār-tār meñ vo hai
be-karāñ zehn o dil kī hai vus.at
jism-o-jāñ ke hisār meñ vo hai
us kī chāroñ taraf kitābeñ haiñ
halqa-e-ġham-gusār meñ vo hai
pesh-e-zālim sadā-e-haq yaanī
narġha-e-sad-hazār meñ vo hai
qila-e-be-basar meñ tum mahfūz
ḳhud-kalāmī ke ġhaar meñ vo hai
ḳhaak tum pā sakoge ḳhaak use
aab o baad o sharār meñ vo hai
lamha-hā-e-sukūñ meñ us kī talāsh
sā.at-e-iztirār meñ vo hai
pairvī us kī hai abas 'rāhī'
ḳhud hī rāh-e-farār meñ vo hai
Top Urdushayar.com