matā-o-māl-e-havas hubb-e-āl sāmne hai
shikār ḳhud ko bachā dekh jaal sāmne hai
ḳhayāl-e-kohna muqayyad hai terī sochoñ meñ
rihā.ī de ki sazā yarġhamāl sāmne hai
mujhe malāl hai apnī falak-nashīnī par
yahī uruuj kī had phir zavāl sāmne hai
ragoñ meñ ḳhuun ke badle machal rahī hai aag
ziyāñ badan kā na jaañ kā vabāl sāmne hai
yahī hai kāba-e-maqsūd isī se jalva-e-arsh
uThā le chaah se qūt-e-halāl sāmne hai
vo bā-kamāl siyāq o sabāq par haavī
guzishta us kī nazar meñ ma.aal sāmne hai
sazā kī himmat-e-ālī bhī ho ga.ī paspā
hazār-hā araq-e-infi.āl sāmne hai
ḳhulūs sikka-e-uftāda jeb-e-hastī kā
uThā ke Daal de dast-e-savāl sāmne hai
hamāre sabr kī had ham pe āshkārā ho
musabbibā sabab-e-ishti.āl sāmne hai
mujhe aziiz hai sahrā-e-mumkināt kī sair
ye aur baat ki bāġh-e-muhāl sāmne hai
nazar ba-ḳhair ho 'rāhī' ki bū-e-gul kī tarah
chhupā hai vo magar us kā jamāl sāmne hai