Rahi Fidai

hum na hote kaKH-e-musht-e-KHak hota ghaaliban

Rahi Fidai

1949
ham na hote kāḳh-e-musht-e-ḳhāk hotā ġhāliban
be-samā.at naġhma-e-laulāk hotā ġhāliban
aap ne achchhā kiyā tathīr-e-ḳhvāhish hī na kī
varna zamzam chashma-e-nāpāk hotā ġhāliban
ātish-e-karb-o-balā ne hosh ke nāḳhun liye
josh meñ sail-e-ḳhas-o-ḳhāshāk hotā ġhāliban
ḳhud hī bātil-sāz ne hañgāma-ārā.ī na kī
ḳhush-libās-e-haq bhī dāman-chāk hotā ġhāliban
hādsoñ ke ḳhauf se ehsās kī had meñ na thā
varna nafs-e-mutma.in saffāk hotā ġhāliban
soch kar hī to lagāyā hājib-e-shams-o-qamar
lā-makāñ par qabza-e-idrāk hotā ġhāliban
sho.alagī ne is ko 'rāhī' sad-shikasta kar diyā
aa.ina dil sūrat-e-zahhāk hotā ġhāliban
Top Urdushayar.com