na sitāra na hī ham shams-o-qamar chāhte haiñ
ham daraḳhtoñ se faqat shāḳh-o-samar chāhte haiñ
na zamīñ chāhte haiñ aur na zar chāhte haiñ
ham faqīrān-e-ḳhudā ek hī dar chāhte haiñ
dasht-o-dariyā ke amiiñ bhī to haiñ āvāra nasīb
sā.ebāñ koī bhī ho apnā hī ghar chāhte haiñ
muntaqil apnī nadāmat na karo ġhairoñ tak
tajraba ham bhī kahāñ bār-e-digar chāhte haiñ
shīsha-o-chob ke dānoñ se na bahleñge kabhī
daur-e-hāzir ke ye bachche to guhar chāhte haiñ
mansab-o-jāh haqīqat meñ haiñ mohtājī-e-dil
sochiye ḳhuub ye kyā ilm-o-hunar chāhte haiñ
bin bulā.e hī musāfir ye chale aa.e the
vasvase aap se ab izn-e-safar chāhte haiñ
tum to aḳhbār sunāte ho jahāñ ke 'rāhī'
ham ki darvesh haiñ bātin kī ḳhabar chāhte haiñ