suno to āriza-e-iḳhtilāj rahne do
sukūñ ke Thiik nahīñ haiñ mizāj rahne do
ba-hukm-e-shāh taqārīb-e-amn kal hoñge
sharar-gazīda hai māhaul aaj rahne do
tum apnī nabz kī raftār par nazar rakkho
ḳhilāf-e-gardish-e-nau-ehtijāj rahne do
kisī ko saaya kisī ko gul-o-samar degā
harā bharā hai daraḳht-e-rivāj rahne do
zamīn-e-fikr-o-hunar bāñjh hai abhī 'rāhī'
husūl-e-dād vasūl-e-ḳhirāj rahne do