koī nashsha na koī ḳhvāb ḳharīd
tīra-baḳhtī hai māhtāb ḳharīd
hai muzayyan dukān-e-lā-adrī
sau savāloñ kā ik javāb ḳharīd
kīsa-e-tammā meñ chhupā dīnār
phir bilā ḳhauf ehtisāb ḳharīd
baḌī mabsūt hai kitāb-e-ḳhalq
koī achchhā sā intiḳhāb ḳharīd
tujh meñ hai bahr-e-be-karāñ kā vajūd
tujh se kis ne kahā habāb ḳharīd
totā-chashmī ke aib se hai paak
shakl bad hī sahī ġhurāb ḳharīd
tab kahīñ jā ke hogā tū 'ġhālib'
asadullāh kā ḳhitāb ḳharīd
madah-ḳhvāñ hogā har varaq 'rāhī'
sirf ik lafz-e-intisāb ḳharīd