Rahi Fidai

mutalea ki hawas hai kitab de jao

Rahi Fidai

1949
mutāle.a kī havas hai kitāb de jaao
hamāre ahd ko sāleh nisāb de jaao
shahpar-e-ilm kī jholī kamāl se ḳhālī
ḳhudā ke vāste koī ḳhitāb de jaao
kabhī to hurmat-e-sairābi-e-nazar khul jaa.e
samundaroñ ko tilism-e-sarāab de jaao
haqīqatoñ ko tamāshā nahīñ banā.ūñgā
munāfiqat kī havā hai naqāb de jaao
tumhārī āḳhirī ummīd ban ke lauTūñgā
vidā kī ghaḌiyoñ kā hisāb de jaao
qadīm raushniyoñ se unheñ shikāyat hai
to shapparoñ ko nayā āftāb de jaao
koī to mashġhala-e-nā-murād jaarī ho
zabāñ ko badriqa-e-inqilāb de jaao
isī meñ ḳhanda-labī shān-e-be-niyāzī hai
har ek tiir kā sākit javāb de jaao
safar-e-nasīb hai 'rāhī' misāl-e-bād-e-ravāñ
jahāt-e-shash kī zamām o rikāb de jaao
Top Urdushayar.com