har ik fan meñ yaqīnan taaq hai vo
azal hī se baḌā ḳhallāq hai vo
jise tum ne kahā thā samm-e-qātil
azīzam asl meñ tiryāq hai vo
use sañg-e-tanaffur se na ragḌo
sulag uTThegā dil chaqmāq hai vo
ġhurūb-e-sidq kā ḳhadsha hai bātil
kahāñ minnat-kash-e-ishrāq hai vo
jarī ibn-e-sharāfat nek laḌkā
qabīle bhar meñ lekin aaq hai vo
ba-bātin aa.ina hai qalb us kā
ba-zāhir sarvar-e-fussāq hai vo
kahāñ se ehtisāb-e-nafs hogā
hisāb-e-dostāñ be-bāq hai vo
muqaffal ghar khulā hai ik darīcha
kisī kī diid kā mushtāq hai vo
jahāñ rakkhī hai sham-e-be-sabātī
mirī dīvār-e-jāñ kā taaq hai vo
azā.em jis se paspā hoñ safar meñ
amiir us ko kaheñ qazzāq hai vo
havas bhī kyā koī ḳhasta sutūñ hai
daraḳht-e-nārasā kī saaq hai vo
banāyā us ne sab ko juft 'rāhī'
magar har zāviye se taaq hai vo