kabhī sukūñ to kabhī iztirāb bhī jhelā
khulī jo aañkh to anjām-e-ḳhvāb bhī jhelā
qadam qadam pe purāne sabaq bhī yaad aa.e
qadam qadam pe badaltā nisāb bhī jhelā
bayāz-e-dil ke sunahre hurūf bhī chūme
kitāb-e-jāñ pe likhā intisāb bhī jhelā
hamārā haq bhī musallam thā qatre qatre par
hamīñ ne tishna-labī kā azaab bhī jhelā
kabhī jo ā.īna-ḳhāne kī sair ko nikle
to ek manzar-e-ḳhud ehtisāb bhī jhelā
chale to saare zamāne ko saath le ke chale
ruke to ālam-e-ḳhud-ijtināb bhī jhelā
na jaane kis kī rahī justujū 'ziyā' ham ko
ki ham ne ik dil-e-ḳhāna-ḳharāb bhī jhelā