dinner pe aaj koī us sā āshnā bhī na thā
vo is se pahle agarche kahīñ milā bhī na thā
usī ne aaj batāyā mujhe ki kaun huuñ maiñ
vo jis ko aaj se pahle maiñ jāntā bhī na thā
kahāñ huuñ kyuuñ huuñ har ik saañs pūchhtī hai mujhe
kabhī maiñ apne savāloñ meñ yuuñ ghirā bhī na thā
kisī kī mez pe hī rah ga.ī na jaane kyuuñ
vo Diary ki abhī jis pe kuchh likhā bhī na thā
tamām shahr sadāoñ ke ik bhañvar meñ hai
mirā makān kabhī aise Doltā bhī na thā
mujhe na jaane vo siine se kyuuñ lagā.e phirā
maiñ koī gul bhī na thā mauja-e-havā bhī na thā
vo jis kī dhun meñ ham itvār ko bhī ghar na rahe
milā to apnī taraf 'shām' dekhtā bhī na thā